शनिवार, 21 नवंबर 2009
gyan tatva.
Aapko kabhi uske liye nahi pachhtana chahiye jo apko nahi mila,aapko ye sauchna chahiye ki aapko pachhtane me time barwaad karne me kya khona padsakta hai..har beeta hua pal kabhi bapis nahi aata,aap klpna kijye zara sauchiye sauchiye ki ek bahut hi vehtreen din jab aap kahin sundar sthaan par ghoom rahe the aur aapko vahan bahut aanand aaya tha,kya aap un kshano ko kabhi vapis paa sakte hain,kisi bhi kimat par...agar swaym bhagwaan bhi chahen to bhi nahi..isiliye aapse kahta hun,ki aapko us beete huye palon ke liye nahi pachhtana chahiye jo aapke liye bane hi nahi the..isse aapka mulya aapke jivan ka mulya aur aapki yogyta ka mulya kam hota hai,,milta kuchh nahi..isko aap aise bhi sauch sakte hain..ki pachhtana uske liye chaiye jo aapko nahi mila aur aapse kshreshtha tha,,aapse achchha tha,,kyonki vastava me dukh usi ke khone ka hota hai jo aapke liye aapse jayada mulyawaan aur kshreshtha hota hai,na ki aapse kamtar ya nimnstar ke liye,to aap swaym ka mulyankan kijyeaur sauchiye ki jab aapne kisi ko dhaukha nahi diya hamesha aap uske liye wafadaar rahe,apne vachan se peechhe nahi hate to vah vyakti aapse kshreshtha kaise ho sakta hai jo aapko chhaudkar chala gaya hai,vah to aapki apeksha kam mulyawaan aur nimnstriya hoga to aapko aise kisi mulyaheen aur apne vachan par na tikne waale vyakti ke liye aap kyon raute hai,uske liye kyon pareshaan hote hain,swaym ko kyon baarwaad karte hain jo aapke star ka tha hi nahi..jara sauchiye agar aisa vyakti aapke jivan me saath rahta aur kabhi aise maudpar aapko dhauka deta jab aapke aur aapke sampurna jivan ke liye ghatak aur vinashkaari hota tab aap kya karte...vaise bhi dil tutna alag baat hai..jivan ke saath anyaan karna alag baat hai..isiliye meri baat ko dhyaan se suniye aur mere saath meri traha aage badhiye..mai jivan ke har palon me har kathinaayee me aapko salah aur sahayta deta rahunga..
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें